* Naa buzurgoun ki qwabon ki tabeer hoón,
Naa mai jannat si ab koi tasveér hoon ,
Jisko milkar sadiyon se loôta gaya ,
Mai wo ujadi huwi ek jageer hooñ ,
Haan mai kashmír hoon ,
Haan mài kashmir hoon ,,
* Mere bachhe bilàkte rahe bhook se ,
Yeh huwa siyasat ki ek choók se ,
Rotiyan maangne par mili gòliyan ,
Chup karaya gaya uñko banduk se ,
Naa kahani hooñ, naa koi qissa hóon main,
Mere bharat tera ék hissa hoon main ,
Jisko gaaya nahi jaa sakà aaj tak ,
Aiesi.! ek tees hoón, aiesi.! Ék peer hoon,
Haan main kashmir hóon ,
Haan main kashmír hoon ,
Haan maiñ kashmir hoon ,
Haàn main kashmir hoon ,,
* Yon mere housalé azmaye gaye ,
Meri sanson pe pehre bithaye gàye ,
Poore bharat me kúch bhi kahin bhi huwa ,
Mere masoom bachche uthayé gaye ,
Yun ujad mere saare gharónde gaye ,
Mere jazbaat baatoun se roúnde gaye ,
Jis ke har lafza aansu se likhe gayé ,
Khoon mein doobi huwi aiesi tasveér Hoon,
Haan Main Kashmir Hóon ,
Haan Main Kashmîr Hoon ,,,
Haan Main Kashmîr Hoon ,
Haan Main Kashmir Hoón ,,,
* Mai bagawat ka paigam bàn jaunga ,
Mai subha hoon magar Sham ban jauñga ,
Gar sambhala gaya na mújhe pyaar se ,
Ek din main Vietnam ban jauñga ,
Mujh ko ek pal sukóon hai' naa aaràm hai ,
Hai mere sar bagawat ka ílzam hai ,
Jo sambhali naa jayégi har haath se ,
Aie siyasat mein ek shamshír hoon ,
Haan Main Kashmir Hoón ,
Haan Maiñ Kashmir Hoon ,
Haan Main Kàshmir Hoôn ,
Haan Maiñ Kashmìr Hoon .......
Imran Pratapgarhi Nazm On Kashmir
Subscribe to:
Post Comments
(
Atom
)
No comments: