Love poetry in urdu
Urdu Love Poetry In English Text
Love poetry -
Kabhi mujh ko sath lêkar , kabhi mere sath chal kê ,
Wo badal gaya achañak ,meri ziñdagi badãl ke ,
Huwe jis pe maherbañ tum koi khushñasib hõga ,
Meri hasratéin to niklí , merê aansu'on me dhal kę ,
Teri zulf o ruq kê kubra dil-e-zaar dhuñdta hãi ,
Wahi champayí ujhalê ,wahi surmayį dhúndhal ké ,
Kói phool ban gaya hài, koi chañd kōi tara ,
Jó chiragh bhuj gaye haiñ , terí anjumañ me jal kê ,
Mere doston khudāra ,mere sath túm bhi dhuñdhó ,
Wo yahi kahi chúpe hain, mere gham ka rukh badãl ké ,
Teri bejhijhak hasi sè Naa kisi ka dil hō moulà ,
Ye Nagar hai aayinô ka , yahañ sans le sambhal kē ....
_________________________________________
Love ghazal - Ye zulf agar khul ke bikar jayen to achha
Ye zulf agar khul ke bikhar jaye to achha,
Is raat ki taqdir sanvar jaye to achha,
Jis tarah se thodi sit ere sath kati hai,
Baqi bhi usi tarah guzar jaye to achha,
Duniya ki nigahon me bhala kya hai bura kya,
Ye bojh agar dil se utar jaye to achha,
Vaise to tumhi ne mujhe barbad kiya hai,
Ilzam kisi aur ke sar jaye to achha,
_________________________________________
Urdu love ghazal in english text
Usne khat me meri kayi bâar khata likhã ,
Magar ek bar bhi nahi bē-wafa likha ,,
Khamósh tha wo to har kisi ke sawal pår,
Magar khud se kabhi bhi nahį khafá likhā ,,,
Aaj bhi batuye mein usñe mera gulab rhakkã hai ,
Lekiñ use sab ki nazar se chupayé rhàkka ,,
Gunah-e-jurm mujhse kayi bar hūwa binà chahé ,
Usne Aaj bhi mujh kō apña banaye rhakkā ,
Ahesâs hai mujh kõ mumkin nahi hai tujhe bhùl paña ,
Maiñe bhi uske har khat ko siñe se laga ye rhakka
_________________________________________
Mohabbat ghazal in urdu -
_________________________________________
Urdu ghazal -
Itni
muddat bad mile ho,
Kin
sochon mein gum phirte ho,?
Itne
khauf kyun rahete ho,
Har
aahat se dar jate ho,
Tez
hava ne mujh se pucha,
Ret
pe kya likhte rahete ho,
Kash
koi ham se bhi puchhe,
Raat
gaye tak kyun jage ho,
Mai
dariya se bhi darta hun,
Tum
dariya se bhi gahere ho,
Koun
si baat hai tum me aisi,
Itne
ache kyun lagte ho,
Piche
mud kar kyun dekha tha,
Pattar
ban kar kya takte ho,
Jao
jeet ka jashn manao,
Me
jhuta hun tum sachhe ho,
Apne
shahar ke sab logon se,
Meri
khatir kyun uljhe ho,
Kahne
ko rahte ho dil me,
Phir
bhi kitne door khade ho,
Raat
hame kuch yaad nahi tha,
Raat
bahot hee yaad aaye ho.,
Ham
se na pucho hijr ke qisse,
Apni
kaho ab tum kaise ho,
Mohsin tum badnam bahot ho,
Jaise
ho phir bhi ache ho.
No comments: