Mirza ghalib 2 line shayari , Mirza ghalib ghazal ,

Best famous shayari & ghazal of Mirza ghalib , 




Mirza ghalib shayari --

Kisi ko deke dil koi nawa-sanjay-e-fughan kyun ho,?
Na ho jb dil hee Sine mein, to muh mein jaban kyun ho,


_____________________________________________

Mirza ghalib 2 line shayari , 


Dard minnat - kash - e - dawa naa huwa,
Mai naa achha huwa, bura naa huwa,

_____________________________________________

Mirza ghalib 2 line shayari ,


Wo phirakha aur wo wisal kahan,?
Wo shab - o - roz -o -mah - o - sal kahan,

phirakha = separation
wisal = meeting


_____________________________________________

Mirza ghalib 2 line shayari , 


Arz - e - niyaz ishq ke kabil nahi raha,
Jis dil pe naaz tha mujhe wo dil nahi raha..


niyaz=desire

_____________________________________________                                     


Mirza ghalib ghazal -----

1)
Naa tha kuch to khuda tha, kuch naa hota to khuda hota ,,,,


Naa tha kuch to khuda tha , kuch na hota to khuda hota,
duboya mujhko hone ne , na hota main to kya hota,?


huwa jb gham se yun behis to gham kya sar ke katne ka,
naa hota gar juda tan se to janoon par dhara hota,

 
huwi muddat ke ghalib mar gaya par yaad aata hai,
wo har ek baat pe kehna ke yun hota to kya hota,?


(behis=shocked)
( janoon=knee)
 (muddat =duration)
 

_____________________________________________                                                   


2 ) 

Mirza ghalib ghazal - nuktachit-e-dil usko bataye naa bane,

nuktachit-e-dil usko bataye naa bane,
kya bane baat jahan baat banaye naa bane,

                        
main bulata to hoon usko magar ye jazbay-e-dil,
uspe ban jaye kuch aiesi kee bin aaye na bane,


khel samajha hai kahin na de, bhol na jaye,
kash ! yoon bhi ho kee bin mere sataye na bane,


ghair fhirta hai liye yoon tere khat ko ki agar,,,
koi puche kee ye kya hai? to chipaye na bane,,


kahe sake naa ,  ki ye jalwa - giri kiski hai,
parda choda hai wo usne ki uthaye na bane,

     
mout ki rah na dekhon ke been aaye na rahe,
tumko chahun ke na aaun, to bulaye na bane,


 banjh wo sar pe gira hai kee uthaye na uthe,
kaam wo aan pada hai kee banaye na bane,


Ishq par jor nahi, hai ye wo Aatish ghalib,
ki lagaye na lage aur bujhaye na bane................
 

nuktachit = Critic 
Aatish = Fire
 jalwa-giri = manifestation        

_____________________________________________                                                   


Mirza ghalib ghazal - hai bs kee har ek unke ishare mein nishan aur,,,,,,, 


Hai bs kee har ek unke ishare mein nishan aur,
karte hai mohabbat to guzarta hai guman aur,


yaa ran ! wo na samjhe hai na samjhenge meri baat,
de aur dil unko , jo na de mujhko juban aur,
 

aabaru se  hai kya us nigah-e-naaz ko paivand,
hai teer mukarrar magar uski hai kamaan aur,
               

tum shahr mein ho to hame kya gham? jab uthenge,
le aayenge bazar se jaakar dil-o-jaan aur,


 harchand subk-dast huye boot-shikani mein,
ham hai to abhi rah me hai sang-e-giran aur,


hai khoon-e-jigar josh mein dil khol ke rona,
hote koi jo dida-e-khonaba-fhishan aur,

                    
(dida = eye)
(khonaba = mixture of both blood ang water)
(fhishan = sheds)
 (guman = Doubt)
( paivand,= patch)
(subk-dast = expert)
( boot-shikani = iconoclast)
(sang = stone)
(giran = heavy)

_____________________________________________                                          


Mirza ghalib famous poetry


phir mujhe dida-e-tar yaad aaya,
dil jigar tashna-e-pariyad aaya,


dam liya tha naa kayamat ne hanoz,
phir tera waqt-e-safar yaad aaya,


sadagi haye tamanna yani,
phir wo nai-rang-nazar yaad aaya,


ujar-e-vamandagi-e-hasrat-e-dil,
nala karta tha jigar yaad aaya,


zindagi yon bhi guzar hi jati,,
kyun tera rahguzar yaad aaya,

 
kya hi rizava se ladayi ho gayi,
ghar tera khuld mein gar yaad aaya,


aah.! wo jurrat-e-fariyad kahan,
dil se tang aakar jigar yaad aaya,


phir tere kuche ko aata hai khayal,
dil-e-gumnashta magar yaad aaya,


koi virani si virani hai,
dasht ko dekh ke ghar yaad aaya .....................

 
 dida-e-tar = {wet eyes} 
tashna = {thirsty}
hanoz = {still}
nai-rang = {fascinating}
ujar = {excuse} vamandagi = {tiredness}
rizava= {doorkeeper}
 jurrat = {courage}
kuche = {a narrow lane} gumnashta = {missing}
dasht = desert




No comments:

Powered by Blogger.