Zindagi beshumar raste hai ahmed abdullah poetry
Ahmed Abdullah Poetry Zindagi Be-shumar Raste Hai.!
Zindagi be-shumar raste hai’ khudko mujhse guzar raste hai,
Ek rasta hai sirf masjid ko’ maikade ko hazar raste hai,
Kafila mar raha hai sunne ko’ bolde shah-sawar raste hai,
Ishq ne hee kaha tha musa ko’ hoja dariya ke par raste hai,
Is ilake me ek shayar hai’ isliye so guzar raste hai.
Ahmed abdullah poetry
Mujh se bhi chhin le bhale usko,
Shaher mat chhodna pade usko,
Deeda-o-dil usi ke bante the,
Aur wo de diye gaye usko,
Mai use jis nazar se dekhta hun,
Soch ek din pata chale usko,
Is kadar usko yaad aaun mai
Dairy kholni padi usko
Ahmed abdullah ghazal -Saiyyad nashemand ka
Mafrur parindo ko ye elan gaya hai,
Saiyyad nashemand ka pata jaan gaya hai,
Yani jise dimak lagi jati thi wo mai tha,?
Ab aake mera meri taraf dhyan gaya hai,
Shishe me bhale usne meri nakal utari,
Khush hun ke mujhe koi to pahechan gaya hai,
Ab baat teri kun pe hai kuch kar mere moula,
Ek shaks tere dar se pareshan gaya hai,
Ye naam-o-nasab jake zamane ko batao,
Darvesh to dastak se hee pahechan gaya hai,
Ahmed abdullah poetry - Yun to har samat hai
Yun to har samat hai imdad ke bazar khule,
Tere aage hee magar daste gunhgar khule,
Hobi sakta hai juda ishq-o-hawas ka anjam
Hobi sakta hai ye darwaza bhi us par khule,
Aapne jurm kiya’ aapka sar katenge,
Aapne ishq kiya’ aapki dastar khule,
Mere toufon ne mohabbat ka bharam tod diya,
Chudiyan tang nikal aayi hai aur haar khule,
Ahmed abdullah poetry - sb thhik hai.?
Kar rahe hai sb adab sb thiik hai,
Aur wo bhi be-sabab sb thiik hai,
Puchna tha waqayi sb thiik tha,
Kahe rahe the aap jb sb thiik hai,
Socho dariya hal puche ek din
Aur kahede tishna lab sb thiik hai,
Odhli hai chahere pe jhuti hasi,
Ab bana tasveer ab sb thiik hai,
Ahmed abdullah poetry - koi mujhsa makin hai
Is shahere tamanna me koi mujhsa makin hai,
Aandhi me charagon pe jise pura yakin hai,
Tabir bhale chhin le aankhon se basarat,
Ek khwab hakikat me hakikat se hasin hai,
Aur barish ki dua to hai to phir kose-kasa mai,
Gar tujhsa nahi koi to mujhsa bhi nahi hai,
Wo khush nasib ek adna kaniz hoti thi,
Jo saltanat se zyada aziz hoti thi,
Khuda ka zikr ghanimat tha us zamane me,
Khuda ka khouf to kahene ki chhiz hoti thi,
Ahmed abdullah poetry - Ab bhi dilkash hai khad-o-khal
Ab bhi dilkash hai khad-o-khal suna hai maine
Khair dekha nahi filhal suna hai maine,
Ek hee shaks ko chaha hai badi muddat tak
Ek hee geet kayi sal suna hai maine,
Usko dariya ki koi baat nahi karni dee,
Jb se anjame mahi wal suna hai maine,
Ahmed abdullah poetry - Pase parda nahi karte
Sare manzar nahi karte,Pase parda nahi karte,
Kisi chadte huwe suraj ki ham puja nahi karte,
Bhalayi ham bhi karte hai magar charcha nahi karte,
Zamana yun samajhta hai kuch achha nahi karte,
Hamakat hai mohabbat me badan ki justaju karna
Magar ye wo hamakat hai jo ham tanha nahi karte,
Ahmed abdullah poetry - Koi aansu tha naa barish thi
Koi aansu tha naa barish thi magar bhiig gaye,
Kuch manazar jo pase-did-e-tar bhiig gayec
Aaj phir hijr ke badal ke tale do saye,
Chhatriyan khol kar baithe the magar bhiig gaye,
Abre rahemat mere upar se guzar kar bola,
Khushk rahe jayega kya tum bhi agar bhiig gaye,
Pahele malbu sukha lete hai phir sochte hai,
Mai kidhar bhiig gaya’ Aap kidhar bhiig gaye……
No comments: