faiz ahmad faiz ghazal , faiz ahmad faiz shayari,

 Most Famous Poetry Of Faiz Ahmad Faiz , 

Faiz Ahmad Faiz Ghazal


[ About faiz ahmad faiz  

 faiz ahmad faiz ye ek aise shayar the jinhone mohabbat aur inkalab ke tarane ek sath gaye , faiz sahab ye ek aisi hasti thi jo khud hukumat ke julm me kaid to huwe magar apni soch par tale nahi lagane diye ,.. faiz ahmad faiz ke walid [father] Sultan mohammad khan jo peshe se ek vakil the , bachpan me faiz ahmad faiz ke ghar ke karib ek haweli thi , jahan par bakaida mushaira munakkid kiya jata tha, faiz ahmad faiz ko bi wahan se hi shayari ka shouk paida huwa , faiz ahmad faiz ne BA govt. college lahor  se pass kiya aur phir wahi se 1932 me angrezi [ english ] me MA kiya, bad me 'Oriental college lahor' se 'Arbia' me bhi MA kiya , 1935 me faiz ahmad faiz ne 'Mohammadan Anglo Oriental College Amritsar' me batour lecturer kaam kiya ,, aur phir 1936 me faiz sahab ne 'Halley College Of Commerce' Lahor me 'Anjuman Tarakki Pasand Musannafin' taherik ki buniyas rhakki , friends ham is post me faiz ahmad faiz sahab ki kuch chuninnda ghazalon ka collection laye hai , ummid hai aap sab ko ye post pasand aaye gi ,,,,,,]



faiz ahmad faiz ghazal -- 


Hímmàt-e-iltija nahí bakí,

Zàbt ka hóusala nahí bakí,


Ék terí deéd chhín gayí mujh sé,

Wàrna duníya meín kyà  nahí bakí,


Apní màshkh-e-sítam se hath nà khínch,

Maín nàhi ya vafa nahí bakí,


Terí chhshm-e-àalam-Nawaz kí khàir,

Díl meín kói gíla nahi bakí,


Hó chuka khatam éhd-e-híjr-o-wisal,

Zindagí meín maza ñahi baki....


                    - - - - - - - - - - - - - -


Faiz ahmad faiz ghazal -- 


Yé jafâ-e-ghám kaa chära' wo najåt-ê-dil ka aalãm,

Tera husn dast-è-ìsa teri yaad ruy-e-maryäm,


Dil o Jaan fida-é-rahe ' kabhi aà ke dékh hamdham,

Sar-é-ku-é-dil-figaran shab-é-aarzu ka aalàm,


Teri deed se siva hai teri shoukh mein bahaaran,

 Wo chamàn jahàn giri hai teri gesuon ki shabnàm,


Ye ajàb qayamatein hai teri rahguzàr mein guzarn,,

Na huwa ki màr mithein hàm naa huwa ki jee uthein ham,


Lo suni gayi hamari yoon phire hain din ki phir se,

Wahi gosha-é-qafàs hai wahi fasl-é-gul kà màtam,


                     - - - - - - - - - - - - - -


Faiz ahmad faiz ghazal --


Garmi-é-shouq-é-nàzaraa ka asàr to dekhó,

Gul khilé jaaté hain wo saya-e-tar tó dekhó,


Aise nadan bhi nà thé jaan Sé guzarné wale,

Naseho pand-gàró rahguzàr to dekhó,


Wo to wo hai tumhén hó jayegi ulfàt mujh sé,

Ek nazàr tum merà mahboob-e-nazàr to dekhó,


Wo jó àb chàk garébàn bhí nahi karté hain,

Dekhñe walón kabhí un ka jigàr tó dekhó,


Daman-é-dàrd kó gulzar Bana rakkhà hài,

Aaó ek dín dil-é-pur-khun ka hunàr to dekhó,


Subah ki taràh jhamàkta hai shab-é-ghàm ka ufúq,

"Fàiz" tabindagi-é-dida-é-tàr to dekhó,


                    - - - - - - - - - - - - - -


faiz ahmad faiz ghazal --


Qarz - é - nigah - é - yaar adaa kar chuké hain hàm,

Sàb kuch nisàr - é - rah - é - vafà kar chuke hai hàm,


Kuch imtihàn - é - dast - é - jàfa kàr chúke hai hàm,

Kúch unki dastaras kà pata kàr chuké hai hàm,


Àb ehtíyàt ki koi suràt nahi rahi,

Qatíl Sé rasm - ó - rah sivà kàr chuké hai hàm,


Dekhein hai koun koun zarurat nahi rahi,

Kuy - e - sítam mein sab kó khafà kàr chuké hai hàm,


Àb apnà ikhtiyàr hài chahé jahàn chalein,

Rahbàr se apní raàh judà kàr chuké haí hàm,


Ún ki nazàr mein kya karein phikà hai ab bhi ràng,

Jitna lahoo tha sarf - é - qaba kar chuké hai hàm,


Kuch apné dil ki khoo ka bhi shukrana chahiye,,

Sou (100) bar un ki khoo ka gila kar chuké hai hàm,



                                                                                                        

No comments:

Powered by Blogger.