Abrar Kashif shayari! Abrar Kashif famous poetry,

 Abrar Kashif Ghazal Mere rab ki mujh par inayat Huwi.!

Abrar Kashif Mushaira Shayari, Abrar kashif famous poetry, bata kya kiya tune mere liye shayari lyrics,


Hello guy's,, well come to our website " Arshayari.in ",, friends aaj aapko is post mein Abrar Kashif sahab ki bahot hee mashhur nazam "bata tune kya kiya mere liye, yaa phir yun kahiye ke "fabiayyi alai rabbikuma tukazziban" jo ki pichle dino se YouTube wagaira me bahot hee famous ho gayi hai,, ham is post me abrar kashif ki shayari, jo ki mushaira shayari aur ghazal dono hee hai,,  ummid hai ye post aap sabhi ko pasand aaye gi.


Abrar Kashif famous nazm lyrics - 


Mere Râb Ki Mujh Per Inayat Huwi,

Kahun Bhi To Kaise Ibadat Huwi,



Haqiqat Huwi Jaise Mujh Par Ayaân,

Qalam Ban Gya Hai Khuda Ki Zúban


Mukhatib Hai Bande Se Parwārdigar,

Tu Husn-e-Chaman Tu Heē Rang-e-Bahaar



Tu Miraj-e-Fun Tu He Fun Ka Siñghar,

Musavvir Hoon Mein Tù Mera Shahkaar,



Ye Subhe Ye Shame Ye Din aùr Raat

Ye Rangeen Dilkash Haseen Kaįnat,



Ke  Huron Malaik-O-Jinñat Mein,

Kiya Hai Tujhe Ashrafulmakhlũqat, 


Meri Azmatoon Ka Hawalã Hai Tu,

Tu Hi Roshni Hai Ujalå Hai Tu,



Farishtoon Se Sajda Bhi Karwa Dïya,

Ke  Tere Liye Mein Ne Kyá Na Kiya,


Afkar alvi poetry Murshid


Ye Duniya Jahaan Bazm Arayiáan,

Ye Mehfil Ye Mele Ye Tañhayiaan,


Falak Ka Tujhe Shamyaña Diya,

Zameen Per Tujhe Aab-o-Daâna Diya,



Mile Aabsharoo Se Bhi Hoúsalein,

Pahadoo Mein Tujh Ko Dįye Rastein,



Ye Pani Hawa aur Shams-O-Qamâr,

Ye Moj-e-Rawa Ye Kinara Bhañwar, 



Ye Shakoon Pe Gunchay Chatakte Hûwe,

Falak Pe Sitare chamakte Huwê,


Ye Sabzay Ye Pholoon Bhari Kiyarįyaan

Ye Panchi Ye Udti Huwį Titliyaan,



Ye Shola Ye Shabnam Ye Mitti Yé Sang,

Ye Jharnon Ke Bajte Huwè Jal-Tarang,



Ye Jhilon Mein Haste Huwe Se Kañwal,

Ye Dharti Pe Mosam Ki Lįkhi Ghazal,


Nusrat Fateh Ali Saheb Ki Romantic Ghazal Lyrics 💞


Ye Sardi Ye Garmi Ye Barish Ye Dhôop,

Ye Chehra Ye Qad Or Ye Rang-ō-Roop,


Darindoon-Charindoon Pe Qaboo Dįya,

Tujhe Bhai De Kar Ke Bázu Diya,



Behan Di Tujhe Aur Sharike Sāffar,

Ye Rishte Ye Naate Ye Gharaña Ye Ghar,



Ke Aulad Bhi Diii Diye Walèdaiñ,

Alif Laam Meem Qaaf Or Aeên Gain,


Ye Aqal - o - Zahanat Shaoor - õ - Nazar,

Ye Basti Ye Sehra Ye Khushki Yê Tar,



Aur Us Per Kitabain Hidâyat Bhi Di,

Nabi Bhi Utare Shariyat Bhi Diį



Garz Ke Sabhi Kuch Hai Terê Liye

Bata Kya Kiya Tune Merē Liye.

Bata Kya Kiya Tune Mere Liye........ 



****

Tujhko pane me mas'ala ye hai

Abrar Kashif Mushaira Shayari,

bata kya kiya tune mere liye shayari lyrics,Abrar kashif famous poetry,Abrar Kashif Mushaira Shayari,


Shiddat-e-ehsas-e-tanhayi jagaya mât karo,

Mujh ko itne saare logon se milaya mat karo,



Tum hamare housle ki akhiri ummid ho,

Tum hamare zakhm par marham lagaya mat karo,



Akhiri lamhat mein kya sochne lagte ho tum,

Jiit ke nazdik aa kar haar jaaya mat karo,


Ek aansu bhi bahot hai bahar-e-isal-e-savab,

Ham gharibon ke liye dariya bahaya mat karo,



Log afsana banate hain zara si baat ka,

Tum hamare naam pe nazrein jhukaya mat karo....


Khuda mujhse maa ki mohabbat na chhine😥


****

Abrar kashif poetry,


Ye manzar dekh kar sahil ki hairani nahi jaati,

Mujhe chhu kar bhi koi mauj-e-tufani nahi jaati, 



Pareshani agar hai to pareshani ka hal bhi hai,

Pareshan-hal rahne se pareshani nahi jaati,



Ye kaise log hain jo ayina pahchan lete hain, 

Ki ab ham se to apni shakl pahchani nahi jaati, 



Bahut kanjus hain ankhen miri aansu bahane me,

Agarche daulat-e-gham ki faravani nahi jaati,



Gham-e-duniya se pahlu to mira abad rahta hai,

Magar dil hai ki is ki khana-virani nahi jaati,



****


Abrar kashif poetry lyrics,


Tohfa-ê-ahd-e-wafa di jiye aap,

Bewafa hun to saza di jiye aap,



Ham ne rakhha hai hawaon ka bharam,

Ham charaghon ko dua di jiye aap,



Aaj-kal nind bahot aati hai,

Meri aankhon ko saza di jiye aap,



Rabt kuch to ho marasim ke liye,

Mujh pe ilzam laga di jiye aap,



Rasm-e-tanqid chal rahi hai yahan,

Rasm-e-tayid utha di jiye aap,


Phir main utha hun Naya azm liye,

Phir koi zakham Naya di jiye aap,




****


Abrar kashif famous ghazal,


Bolne ka nahi chup rahne ka man chahta hai,

Aise halat mein to lutf-e-sukhan chahta hai,



Ek to ruh bhi kafur-sifat hai apni,

Aur ab jism bhi be-dagh kafan chahta hai,



Main wafaon ka parastar hun lekin mujh se,

Mera maheboob zamane ka chalan chahta hai,



Tu idhar kaise are Chandni surat wale,

Ye wo dhandha hai jo aankhon mein jalan chahta hai,



Wasl ke baad bhi puri nahi hoti khwahish,

Aur kuch hai jo ye nadira badan chahta hai,



Suune suune se hain lafzon ke shiwale "Kashif",

Aisa lagta hai ki izhar badan chahta hai...


1 comment:

  1. I WANT TO REWRITE FOR YOUR BLOG WILL YOU HIRE ME IF CONTACT ME KHANJIKHALID04@GMAIL.COM

    ReplyDelete

Powered by Blogger.